SAD POETRY
Enjoy the best collection of Mir Taqi Mir poetry in Urdu. He is very famous among Pakistani people and around the world because of his romantic poetry and ghazals. We add the new Shayari on daily basis. You can add your own collection to sadpoetry.org as well…
Chaman Main Gul Ne Jo Kal

Chaman Main Gul Ne Jo Kal Dawa Kamal Kia
Jamal-e Yaar Ne Munh Us Ka Khob Laal Kia
Tujhi Par Kuch Ae Buut

Tujhi Par Kuch Ae Buut Nahi Munhasir
Jisay Hum Ne Pooja Khuda Kar Diya
Ghazal Sarai Aage Hamare Mat Kar

Bulbul Ghazal Sarai Aage Hamare Mat Kar
Sab Ham Se Sekhte Hain Andaz Guftagu Ka
Dard Be Ikhtiar

Jab Ke Pehlu Se Yaar Uthta Hai
Dard Be Ikhtiar Uthta Hai
Bewafai Pey Teri

Bewafai Pey Teri Jee Hai Fida
Qahar Hota Jo Bawafa Hota
Intezaar Hai Apna

Be-Khudi Le Gayi Kahan Ham Ko
Dair Se Intezaar Hai Apna
Apna Hal Dikhaya Na Jaye Ga

Ab Dekh Le Ke Sena Bhi Taza Hoya Hai Chak
Phir Ham Se Apna Hal Dikhaya Na Jaye Ga
Us Ko Bhi Badnam Kren

Yun Nakam Rahen Gey Kab Tak Ji Mein Hai Ik Kaam Karen
Ruswa Ho Kar Mar Jawain Us Ko Bhi Badnam Kren
Ham Jo Na Hon Gey Tu Bohat Yaad Karo Gey

Ab Kar Ke Faramosh Tu Nashad Karo Gey
Par Ham Jo Na Hon Gey Tu Bohat Yaad Karo Gey
Hans Ke Khwab Main

Milne Ka Wa’ada Un Ke Tu Munh Se Nikal Gya
Pochi Jga Ju Mai Ne Tu Kha Hans Ke Khwab Main
Pata Pata Bota Bota Haal Hamara

Pata Pata Bota Bota Haal Hamara Jane Hai
Jane Na Jane Dil Hi Na Jane Bagh Tu Sara Jane Hai
Kehte Tu Ho Yun Kehte

Kehte Tu Ho Yun Kehte Yun Kehte Jo Vo Ata
Ye Kehne Ki Baatain Hain Kuch Bhi Na Kaha Jata
Iqrar Mein Kahan Hai

Iqrar Mein Kahan Hai Inkar Ki Se Sorat
Hota Hai Shoq Ghalib Us Kin Ahi Nahi Par
Aage Aage Dekhiye Hota Hai Kya

Rah Dor Ishq Mein Rota Hai Kya
Aage Aage Dekhiye Hota Hai Kya
Gham Raha Jab Tak Keh

Gham Raha Jab Tak Keh Dam Mein Dam Raha
Dil Ke Jane Ka Nahayat Gham Raha
0 Comments