Doobtay Doobtay Kashti Ko Uchala De Doon

Doobtay Doobtay Kashti Ko Uchala De Doon
Main Nahi Koi Tu Sahal Peh Uttar Jaye Ga
Zabt Lazim Hai Magar Dukh Hai Qayamat Ka Faraz
Zalim Ab Ke Bi Na Roye Ga Tu Mar Jaye Ga
Kaha Tha Kis Ney Ke Ehd e Wafa

Kaha Tha Kis Ney Ke Ehd e Wafa Karo Us Se
Jo Yun Kiya Hai To Phir Kyun Gilah Karo Us Se
Naseeb Phir Koi Tqrib Qurb Ho Ke Nah Ho
Jo Dil Mein Hon, Wohi Bateen Kaha Karo Us Se
Ab Ke Ham Bichre Tu Shayad

Ab Ke Ham Bichre Tu Shayad Kabi Khwabon Mai Milain
Jis Tarah Sukhe Hoye Phol Kitabon Mai Milain
Dhond Ujre Hoye Logo Mai Wafa K Moti
Ye Khzane Tuje Mumkin Hai Khrabon Mai Milain
Ham Ahl-e Tamna Ko Faraz

Kya Taajub Hai Ke Ham Ahl-e Tamna Ko Faraz
Wo Jo Mehroom-e Tamana Hain Bura Kehtay Hain
Tu Apni Sheessha Gari Ka Hunar

Tu Apni Sheessha Gari Ka Hunar Na Kar Zaya
Main Aaina Hun Mujhe Totne Ki Aadat Hai
Teri Baatain Hi Sunane Aye

Teri Baatain Hi Sunane Aye
Dost Bhi Dil Hi Dukhane Aye
Phol Khilte Hain Tu Ham Sochte Hain
Tere Aane Ke Zamane Aye
Us Ki Aankhon Ko Kabi

Us Ki Aankhon Ko Kabi Ghor Se Dekha Hai Faraz
Rone Walon Ki Tarah Jagne Walon Jesi
Raat Tu Raat Hai Ham Din Ko

Aesi Tareekyan Aankhon Mein Basi Hai Ke Faraz
Raat Tu Raat Hai Ham Din Ko Jalate Hain Chiragh
Tuj Se Bichar Jane Ka Dar

Dil Ko Teri Chahat Pe Bhrosa Bhi Bohat Hai
Aur Tuj Se Bichar Jane Ka Dar Bhi Nahi Jata
Aaj Tanha Hun Tu Koi

Tere Hote Hoye Aa Jati Thi Sari Dunya
Aaj Tanha Hun Tu Koi Nahi Aane Wala
Ik Umer Ka Bichra Mehboob

Koi Batlao Ke Ik Umer Ka Bichra Mehboob
Itfaqan Kahin Mil Jaye Tu Kya Kehte Hain
Aur Faraz Chahyen Kitni Mohabaten

Aur Faraz Chahyen Kitni Mohabaten Tujhe
Maon Ne Tere Naam Par Bachon Ka Naam Rakh Dia
Zamano Se Dar Raha Hun Faraz

Main Aane Wale Zamano Se Dar Raha Hun Faraz
Ke Main Ne Dekhi Hain Aankhen Udas Logo Ki
Aankh Se Door Na Ho

Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jaye Ga
Waqt Ka Kya Hai Guzarta Hai Guzar Jaye Ga
Kia Pochte Ho Faraz

Mere Sabr Ki Intiha Kia Pochte Ho Faraz
Wo Muj Se Lipat Ke Roya Kisi Aur Ke Liye
Masoom Rahe Faraz…

Log Pathar Ke Buton Ko Poj Kar Bi Masoom Rahe Faraz
Ham Ne Ik Insan Ko Chaha Aur Gunehgar Ho Gaye
Tere Naam Se Pehle Pehle

Ab Tere Zikar Pe Ham Baat Badal Dete Hain
Kitni Raghbat Thi Tere Naam Se Pehle Pehle
Dil Ye Chahta Hai

Ab To Hamain Bi Tark-e Mrasam Ka Dukh Nahi
Par Dil Ye Chahta Hai Ke Aaghaz Tu Kare
Jo Zehar Pee Chuka Hun

Jo Zehar Pee Chuka Hun Tumhein Ne Muje Dia
Ab Tum Zindagi Ki Duaen Muje Na Do
Wafa Kisi Se Faraz

Is Dunya Mai Kon Kre Wafa Kisi Se Faraz
Dil K Do Hroof Wo Bi Juda Juda
Zindagi Se Yehi Gila

Zindagi Se Yehi Gila Hai Muje
Tu Bohat Dair Se Mila Hai Muje
Kisi Baat Pe Roya Ho Ga

Kon Preshan Hota Hai Tere Gham Se Faraz
Wo Apni Hi Kisi Baat Pe Roya Ho Ga
Tarap Jate Hain Faraz

Koi Khamosh Ho Jaye Tu Ham Tarap Jate Hain Faraz
Ham Khamosh Hoye Tu Kisi Ne Haal Tak Na Pocha
Ye Koi Tum Sa Hai Ke Tum Ho

Jis Simat Bhi Dekhon Nazar Aata Hai Ke Tum Ho
Ae Jan-e Jahan Ye Koi Tum Sa Hai Ke Tum Ho
Kabi Farishte Nahi Aate

Kisi Se Juda Hona Agar Itna Asan Hota Faraz
Tu Jism Se Roh Ko Lene Kabi Farishte Nahi Aate
Meri Tarf Lot Aye Faraz

Shayad Tu Kabi Pyasa Meri Tarf Lot Aye Faraz
Aankhon Mein Liye Phirta Hon Darya Teri Khatir
Dost Ban Kar Bhi Nahi

Dost Ban Kar Bhi Nahi Sath Nibahne Wala
Wohi Andaaz Hai Zalam Ka Zamane Wala
Ye Bar Bar Jo Aankhon Ko

Tu Saamne Hai Tu Phir Kyn Yaqeen Nahi Aata
Ye Bar Bar Jo Aankhon Ko Mal Ke Dekhte Hain
Is Se Pehle Keh BeWafa

Is Se Pehle Keh BeWafa Ho Jayen
Kyun Na Ae Dost Ham Juda Ho Jayen
Muj Se Udasi Meri

Muje Se Kehti Hai Tere Sath Rahon Gi Faraz
Bohat Pyar Karti Hai Muj Se Udasi Meri
Ab Aur Kya Kisi Se Marasam

Ab Aur Kya Kisi Se Marasam Barhyen Ham
Ye Bhi Bohat Hai Tuj Ko Agar Bhol Jayen Ham
Muntazir Kis Ka Hun

Muntazir Kis Ka Hun Toti Hoyi Dehleez Pey Mein
Kon Aye Ga Yahan Ko Hai Aane Wala
Ye Junon Faraz Kab Tak

Kisi Bewafa Ki Khatar Ye Junon Faraz Kab Tak
Ju Tumhain Bhol Chuka Hai Usay Tum Bi Bhol Jao
Hera Bna Dia Ham Ne Faraz

Usay Trahsa K Hera Bna Dia Ham Ne Faraz
Magar Ab Ye Sochte Hain Usay Khredain Kesay
Guftagu Achi Lagi

Guftagu Achi Lagi Zoq-e Nazar Acha Laga
Mudaton Ke Ba’ad Koi Hamsafar Acha Laga
Dil Ki Basti Ko Faraz

Ik Pal Mai Jo Barbad Kar Dete Hain Dil Ki Basti Ko Faraz
Wo Log Dekhne Mai Aksar Masom Hote Hain
Dil Ka Dukh Jana Tu

Dil Ka Dukh Jana Tu Dil Ka Masla Hai
Us Ka Hans Dena Hamare Hal Par Acha Laga
Ye Aakhri Shama Bhi Bhujane

Ab Tak Dil-e Khush Fahm Ko Tuj Se Hain Umeedain
Ye Aakhri Shama Bhi Bhujane Ke Liye Aa
Dil Mein Samandar Rakhna

Dolat-e Dard Do Dunya Se Chupa Kar Rakhna
Aankh Mein Boond Na Ho Dil Mein Samandar Rakhna
Dil To Wo Barg-e Khazan Hai

Dil To Wo Barg-e Khazan Hai K Hawa Le Jaye
Gham Wo Aandhi Hai Ke Sehra Bi Ura Le Jaye
Kon Laya Teri Mehfil Mein Hamain Hosh Nahi
Koi Aye Teri Mehfil Se Utha Le Jaye
Juda Hoye Bhi Zamana Bohat Hua
Us Ko Juda Hoye Bhi Zamana Bohat Hua
Ab Kyaa Kahen Ye Qissa Purana Bohat Hua
Dhalti Na Thi Kisi Bhi Jatan Se Shab-e-firaq
Ai Marg-e-na-gahan Tera Aana Bohat Hua
Ham Khuld Se Nikal To Gaye Hain Par Ai Khuda
Itne Se Vaqiye Ka Fasana Bohat Hua
Ab Ham Hain Aur Sare Zamane Ki Dushmani
Us Se Zara Sa Rabt Barhana Bohat Hua
Ab Kyun Na Zindagi Pe Mohabat Ko Vaar Dain
Is Ashiqi Mein Jaan Se Jana Bohat Hua
Ab Tak To Dil Ka Dil Se Ta’aaruf Na Ho Saka
Mana Ki Us Se Milna Milana Bohat Hua
Kya Kya Na Ham Kharaab Hoye Hain Magar Ye Dil
Ai Yaad-e-yaar Teraa Thikaana Bohat Hua
Kahta Tha Naasehon Se Mere Munh Na Aaiyo
Phir Kyaa Thaa Ek Huu Kaa Bahaana Bahut Hua
Lo Phir Tire Labon Pe Usii Bewafa Ka Zikr
Ahmad ‘faraz’ Tujh Se Kahaa Na Bohat Hua
Raat guzr jati hai
Meri palkon ka ab neend sy koi wasta nai faraz
Mera kon hai is duniya main, isi soch main raat guzr jati hai
Submitted By: ALI RAJ
Usay Aankh Bhar Ke Dhekte Hain – Faraz Ghazal Poetry

Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Ke Dhekte Hain
So Us Ke Shehr Mai Kuch Din Thehr K Dekhte Hain
Suna Hai Din Ko Usay Tatlian Stati Hain
Suna Hai Raat Ko Jugnu Thehr K Dekhte Hain
Suna Hai Us Ki Syah Chashmgi Qayamat Hai
So Us Ko Surma Farosh Ah Bhar K Dekhte Hain
Pyar or Mohabat

Pyar or Mohabat Us Door Ki Baat Hai Faraz
Jab Makan Kachay Or Log Sachy Hoa Karte Thay
Mujhse Har Bar wo Nazren Chura Leta Hai

Mujhse Har Bar Wo Nazren Chura Leta Hai Faraz
Mane Kagaz Pe Bhi Bana Ke Dekhi Hain Ankhen Usk
Kab Kon Kisi Ka Hota Hai | Faraz Ghazal Poetry

Kab Kon Kisi Ka Hota Hai
Sab Jhote Rishte Naate Hain
Sab Dil Rakhne Ki Batain Hain
Sab Asli Roop Chupate Hain
Ikhlas Se Khali Log Yahan
Lafzon Ke Teer Chalate Hain
Ik Bar Nigahon Main Aa Kar
Phir Sari Umar Rulate Hain
Muhabat Mumkin Hai Faraz – Shayari
Muhabat Ke Bad Muhabat Mumkin Hai Faraz
Par Toot Ke Chahna Sirf Aik Bar Hota Hai
Chahat Hai Faraz

Ye Kanayat Hai Itayat Hai Keh Chahat Hai Faraz
Ham Tu Razi Hain Wo Jis Hal Main Jesa Rakhe
Zindagi Imtihan Leti Hai – Faraz Shayari

Suna Hai Zindagi Imtihan Leti Hai Faraz
Par Yahan Tu Imtihanon Ne Zindagi Le Li
Jee Tu Karta Hai
Jee Tu Karta Hai Usay Muft Main Jaan Day Doon
Faraz Itnay Masoom Khridar Se Kiya Lena Dena
Mohabbat Kar Sakte Ho To Khuda Se Karo Faraz
Mohabbat Kar Sakte Ho To Khuda Se Karo Faraz
Mitti Ke Khilonon Se Kabhi Wafa Nahi Milti
0 Comments